Purzon ki Purzour Pukar!

Khalid Noor Mohammed
Khalid Noor Mohammed

Hum they bus inke liye ek purza magar
Jab rukee machine inki, tho hum ho gaye be ghar.

Bhatak rahe hain hum dagar, dagar;
Jin shahr ko, nagar ko banay hamne karke eik khoon aur jigar;

Na qadar ki hamari na daya dekhayi ye be khabar.
Thokaren kathe rahe har gali har nagar

Chal padi thi jab shramik ki rail magar,
Trainien bhi bhatak gayi idhar udhar.

Bhook, pyas, beemari, bhadthi gayi is khader,
Goya ye sab kuch ban gayi meri qadr.

Miley kuch aise premi aise dost magar,
Har moud par khatey thei, karte meri fikar.

Kaha unhon-ne: ”Tahro! kuch kha lou, kuch piyo shuru karne se pahle safar!

Ham ko tho bheja gaya tha ke bane madadgar
“Banein hum insanon ke dilaon ki bahar;
Nafrathoun ke thodien hum deewar!”